hello dosto
STATE BANK OF INDIA custumber apna UPI ACTIVE kare.
abhi ka samay online ka hai aise me agar ab bhi aap cash me lenden karte hai to aap jamane ke sath kadam se kadam milakr nahi chal rhe hai.
ajakal har koi chhota mota len den bhi online karta hai aise me agar aap apna len den UPI ke madhym se karna chahte hai to ham aaj apko batayenge ki aap apna UPI active kaise karenge.
UPI KYA HAI,or UPI KA FULL FORM KYA HOTA HAI,—
UPI KO HM -UNIFIED PAYMENT INTERFACE KAHTE HAIN,
Ye npci dwara banaya gya avm ye kam karta hai IMPS interface par,
ye ek real time fund transfer process par kam karta hai
agar aap SBI ke grahak hai or apne UPI ko active karna chahte hai to niche diyegye step ko follow kare –
SBI internet pr login kare
my profile section open kare
yha apko upi enable or diseble ka option milega
apna account no. select kare or enable pr click kare
esi tarh aap ese band bhi kar sakte hai.
band karne ke liye diseble kare
agar aap YONO lite APP estemal karte hai to aap yahan bhi apna upi active kar skte hai eske liye niche diye gaye bato ko follow kare-
SBI YONO lite mobile app pr login kare
UPI open kare
disable enable me se enable pr click kare
apna account no. select kare
turn on kare
esme bhi agar apko upi band karna hai to
upar ke proses follow karne ke bad turn of kare
es tarh aap apne sbi me upi active ya chalu ya band kar skte hai