HELLO DOSTON
Abhi bat karenge ATM se jure kuch niyam ke bare me jisme janenge ki agar aapke atm se aapke account me paise rahte nahi nikle or account se paise kat gye to RBI ne kya niyam banaya hai
aaiye jante hain-
ATM SE PAISA NAHI NIKLA OR PAISA KAT GYA TO KYA KAREN ?
Aksar jab aap ATM se paisa nikalte hai to paisa aapke account se kat jata hai or aapke paise ATM se nahi nikalta to aap paresan ho jate hain ,waise to paisa kuch dino me apne aap account me aa jata hai, lekin aap iski sikayat kar sakte hain ,
ISKI SIKAYAT KAISE KAREN ?
Jab aapke account se paisa kat gya or atm se paisa nahi nikla to aap iski sikayat kar sakte hai ye sikayat aap sambandhit bank me jakar karen ya to us bank ke custumber service se karen jisme aapke len den se sambandhit jo number aapko mila hai ye aapko jab atm se paise nikalte tab jo sleep nikalta hai or sath hi aapke mobile me massege aata hai wo transastion number lekar sikayat karna hota hai,
KITNE DIN ME SIKAYAT KA NIPTARA KARNA HOTA HAI ?
Bhartiy reserve bank (RBI) ke aadesh ke anusar sikayat milne ke adhiktam 12 working day ke andar aisi galti ko sudharna hoga or 12 dino ke andar paise wapas karne honge,
YE 100 RUPAY PAR DAY BANK KAB DETI HAI ?
12 Working day me agar aapke sikayat par koi kam nahi hota or aapke account me paise nahi aate to RBI ke anusar 1 july 2011 se sikayat prapt hone ke 7 working day ke bad bhi agar aapke account me paise nahi aate to aapko bank par day 100 rupay ka bhugtan karega jo ,
jo ki bina kisi dave ke aapke account me jama kar diya jayega ,
or ye tab hoga jab aap len – den ki sikayat 30 dino ke andar karte hain,
AGAR 12 DIN ME BHI PAISA WAPAS NAHI AATA TO KYA KAREN ?
ITNE sare prosses hone ke bad bhi agar aapka paisa wapas nahi aata to aap iski sikayat wnha ke sthaniy banking lokpal se karen ,
DHNYWAD