HELLO DOSTON
AAJ hm bat karenge railway cyber froud ke bare me jisme hm janenge railway me ye froud kaise ho rahe hain , kis tarah ka froud kiya ja raha hai , Is froud se ham kaise bach sakte hain,
AAIYE JANTE HAIN
AAJ kal har din froud ke naye naye tarike khoje ja rahe hain is liye cyber froud ka khatra dino din badhta ja raha hai,

RAILWAY ME KIS TARAH KA CYBER FROUD HO RAHA HAI ?
Railway me ab ticket refund ke nam par froud chal raha hai, isme aapke refund ko target karke aapse froud kiya jata hai, Ye jankari IRCTC ne social midia par diya hai ,IRCTC ne ye jankari tab sajha kiya jab ek user ne IRCTC se sikayat ki or bataya ki 91835005056 se call aaya jisme usne khud ko railway ka adhikari bataya or refund ke liye form bharne ko kaha, jab user ko shak hua tab usne iski jankari IRCTC ko tweter par di
KAISE KARTE HAI RAILWAY CYBER FROUD ?
Is froud me aapko ticket refund ke nam par aapko ek call aata hai jisme aapko ik link bheja jata hai or us link ko open karke form bharne ko kaha jata hai or ye froud alag alag number se call karke karte hai jisme apne aapko railway ka adhikari batate hai,
KIN LOGON KO TARGET KIYA JA RAHA HAI ?
CYBER froud jyada tar un logon ko apna sikar bana rahe hai jo tweter par buking or refund ke bare me sawal puchte hai,
KAISE BACHE RAILWAY CYBER FROUD SE ?
IRCTC ne socal midia ke madhyam se user se anurodh kiya hai ki we kisi link ya sandigdh call ka jabab na de ,nahi to unko bitiy jokhim uthana par sakta hai,
KYA PROSSES HAI TICKET REFUND KA ?
IRCTC ne bataya ki refund ka pura prosses automatic hai, isme kisi tarah ka koi manaviy prayog nahi hai, aapne ticket cancil karaya or refund ka prosses automatic ho jata hai ,
dhanywad