HELLO DOSTON
aaj hm bat karenge ATM se sambandhit vishay par aksar ham log jab atm jate hain to atm me cash nahi rahta hai or hame dusre tisre atm me jana parta hai ,cash ke liye jo ki bahut hi galat asar dalta hai, or aaj kal bank or atm apne sab work ke liye paisa hm aap jaise grahkon se hi leta hai ,
aise me agar unki sewayen achhi nahi rahegi to ye bibhinn tarah ke sulk kyon ? atm me cash kyon nahi inhi baton ko dhyan me rakhte huye RBI kuch niyam bana rahi hai …
aaiye dekhte hain RESERVE BANK OF INDIA ne ATM ki manmarjiyan band karne ke liye kuch niyam banane ja rahi hai,
jisme agar ATM me agar cash nahi hai to atm par jurmana lagega,
RBI ne kaha hai ki ATM me paisa nahi rahne se ATM ka kam kaj prabhabit hota hai or iske karan logon ko kafi dikkaton ka samna karna par raha hai, isliye BANK ko is bat ka dhyan rakhna hoga ki unke ATM cash rahe ,
RBI ne ye bhi kaha hai ki agar koi bank is niyam ko nahi manta hai to us par penalty lagai ja sakati hai,
RESERVE BANK OF INDIA ne kaha hai ki agar kisi bank ke ATM me 1 month me 10 ghante se jyada samay tak cash nahi rahta hai to ATM par 10,000 rupay tak jurmana lagaya ja sakta hai,
RBI yh niyam 1 OCTOBER 2021 se lagu karne ja rahi hai ,
Jisse ki atm ka kam kaj sahi tarike se chale ,logon ko paresaniyo ka samna na karna pare ,
dhanywad